Gulon Ke Chehra-e-rangin Pe Wo Nikhaar Nahin

gulon ke chehra-e-rangin pe wo nikhaar nahin

bahaar aai magar aalam-e-bahaar nahin

jo hath aata hai daman to chhoD deta hun

junun-nawaz abhi mausam-e-bahaar nahin

kisi ki yaad ka aalam na puchhiye mujh se

kabhi qarar hai dil ko kabhi qarar nahin

ye bankpan ye ada ye shabab ka aalam

tum aa gae to kisi ka ab intizar nahin

bahaar par bhi KHizan hi ka rang ghaalib hai

hawa zamane ki gulshan ko sazgar nahin

hamare samne wo hain kahin ye KHwab na ho

ab apni aankhon pe bhi hum ko eatibar nahin

KHud aa gae hain simaT kar nigah mein jalwe

visal-e-dost hai ye ranj-e-intizar nahin

mera mazaq uData hai aaina lekin

meri haqiqat-e-gham us pe aashkar nahin

hamari aabla-pai ka faiz kya kahiye

wo kaun sa hai bayaban jo lala-zar nahin

buton ko puj raha hai tere tasawwur mein

gunah kar ke bhi 'faizi' gunahgar nahin

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulon Ke Chehra-e-rangin Pe Wo Nikhaar Nahin In English By Famous Poet Faizi Nizam Puri. Gulon Ke Chehra-e-rangin Pe Wo Nikhaar Nahin is written by Faizi Nizam Puri. Read famous Poem Gulon Ke Chehra-e-rangin Pe Wo Nikhaar Nahin for youth and Student by Faizi Nizam Puri. Free Download Gulon Ke Chehra-e-rangin Pe Wo Nikhaar Nahin in PDF.