Kuchh Zindagi Mein Lutf Ka Saman Nahin Raha

kuchh zindagi mein lutf ka saman nahin raha

dil aisa bujh gaya koi arman nahin raha

wo josh-e-be-KHudi ka hai aalam ki aaj-kal

zindan mein hum nahin hain ki zindan nahin raha

wo dil hi kya KHalish hi na ho jis mein dard ki

wo gul hi kya jo zinat-e-daman nahin raha

har inqalab waqt ke sanche mein Dhal gaya

markaz pe apne ab koi insan nahin raha

har ek apna KHun piye ja raha hai aaj

insan is zamane mein insan nahin raha

hoti hai ab tarannum-e-dilkash pe wah wah

bazm-e-suKHan mein koi suKHan-dan nahin raha

laya hai us ko khinch ke shauq-e-adab yahan

'faizi' kabhi bhi dad ka KHwahan nahin raha

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Zindagi Mein Lutf Ka Saman Nahin Raha In English By Famous Poet Faizi Nizam Puri. Kuchh Zindagi Mein Lutf Ka Saman Nahin Raha is written by Faizi Nizam Puri. Read famous Poem Kuchh Zindagi Mein Lutf Ka Saman Nahin Raha for youth and Student by Faizi Nizam Puri. Free Download Kuchh Zindagi Mein Lutf Ka Saman Nahin Raha in PDF.