Wo Pahle Andhe Kuen Mein Girae Jate Hain

wo pahle andhe kuen mein girae jate hain

jo sang shishe ke ghar mein sajae jate hain

ajib rasm hai yaro tumhaari mahfil mein

diye jalane se pahle bujhae jate hain

hamari soch ne karwaT ye kaisi badli hai

hum apni aag mein KHud ko jalae jate hain

baDa hi zor hai is bar meinh ke qatron mein

ki pattharon pe bhi ghaw lagae jate hain

nae tariq se barsat ab ke aai hai

ki log ret ke ghar bhi banae jate hain

hamari rakh se uTThega ek naya insan

isi KHayal se KHud ko jalae jate hain

kisi shajar se koi sanp gir ke kaT na le

hum aaj aag saron par uThae jate hain

jo dip apne lahu se jalae the hum ne

wo ek phunk se un ko bujhae jate hain

hamara jism hai sae mein dhup sar par hai

baDe hunar se wo rauzan banae jate hain

kuchh aise 'faKHr' chaman ka nizam badla hai

baghair aab ke paude ugae jate hain

(1300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Pahle Andhe Kuen Mein Girae Jate Hain In English By Famous Poet Fakhr Zaman. Wo Pahle Andhe Kuen Mein Girae Jate Hain is written by Fakhr Zaman. Read famous Poem Wo Pahle Andhe Kuen Mein Girae Jate Hain for youth and Student by Fakhr Zaman. Free Download Wo Pahle Andhe Kuen Mein Girae Jate Hain in PDF.