Ai Sanam Tujhko Hum Bhula Na Sake

ai sanam tujh ko hum bhula na sake

dil se dagh-e-wafa miTa na sake

allah allah us aastan ki kashish

sar jhukaya to sar uTha na sake

miT gae shauq-e-did mein lekin

aap jalwa hamein dikha na sake

teri chahat mein dard wo paya

hum zamane mein chain pa na sake

de ke dil tum ko jaan bhi de di

phir bhi apna tumhein bana na sake

jab se nisbat hui tere dar se

hum kisi dar pe sar jhuka na sake

ishq mein ye ajab tamasha hai

un ko paya to KHud ko pa na sake

aisi badli hawa zamane ki

zaKHm sine ke muskura na sake

tum 'fana' ki lahad pe baad-e-fana

aa ke do phul bhi chaDha na sake

(1691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Sanam Tujhko Hum Bhula Na Sake In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Ai Sanam Tujhko Hum Bhula Na Sake is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Ai Sanam Tujhko Hum Bhula Na Sake for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Ai Sanam Tujhko Hum Bhula Na Sake in PDF.