Andhere Lakh Chha Jaen Ujala Kam Nahin Hota

andhere lakh chha jaen ujala kam nahin hota

charagh-e-arzu jal kar kabhi maddham nahin hota

masiha wo na hon to dard-e-ulfat kam nahin hota

ye zaKHm-e-ishq hai is zaKHm ka marham nahin hota

gham-e-jaanan ko jaan-e-jaan bana le dekh diwane

gham-e-jaanan se baDh kar aur koi gham nahin hota

talab ban kar meri har dam wo mere sath rahte hain

kabhi tanha meri tanhai ka aalam nahin hota

tumhaara aastana chhoD kar aaKHir kahan jaun

diya hai dard-e-dil tum ne wo dil se kam nahin hota

mera tan-man jala kar tu ne zalim KHak kar Dala

magar ai soz-e-ulfat tera shoala kam nahin hota

tere dar se mujhe itni mohabbat ho gai jaanan

tere dar ke alawa sar kahin bhi KHam nahin hota

badalti hi nahin qismat mohabbat karne walon ki

tasawwur yar ka jab tak 'fana' paiham nahin hota

samajh lije ki jazb-e-dil mein hai koi kami baqi

agar didar un ka ishq mein har dam nahin hota

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andhere Lakh Chha Jaen Ujala Kam Nahin Hota In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Andhere Lakh Chha Jaen Ujala Kam Nahin Hota is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Andhere Lakh Chha Jaen Ujala Kam Nahin Hota for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Andhere Lakh Chha Jaen Ujala Kam Nahin Hota in PDF.