Ba-hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain

ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain

har waqt unhi ke jalwon se iman ka sauda karte hain

hum ahl-e-junun mein bas yahi mearaj-e-ibaadat hai apni

milta hai jab un ka naqsh-e-qadam hum shukr ka sajda karte hain

milte hain nazar hosh uDte hain masti bhi barasne lagti hai

malum nahin wo kaun si mai aankhon se pilaya karte hain

pate hain wahi maqsud-e-nazar milti hai unhen manzil un ki

jo un ki tamanna mein har dam KHud apni tamanna karte hain

hai shauq yahi mastanon ko hai sharm yahi diwanon ko

sine se laga kar yaad us ki us shoKH ki puja karte hain

mayus na ho nadan na ban dil soz-e-alam se jalne de

jo chahne wale hain un ke wo aag se khela karte hain

hum kis ke hue dil kis ne liya wo kaun hai kya hai kya kahiye

ye raaz abhi tak khul na saka hum kis ki tamanna karte hain

maiKHana-e-hasti mein hum ne ye rang naya dekha saqi

jin baada-kashon ko hosh nahin wo hosh ka dawa karte hain

ye kaisi jafaen hoti hain ye kaisi ada hai un ki 'fana'

hum husn ka parda rakhte hain wo ishq ka dawa karte hain

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Ba-hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Ba-hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Ba-hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain in PDF.