Duniya Ke Har KHayal Se Begana Kar Diya

duniya ke har KHayal se begana kar diya

husn-e-KHayal-e-yar ne diwana kar diya

tu ne kamal jalwa-e-jaanana kar diya

bulbul ko phul shama ko parwana kar diya

mashrab nahin ye mera ki pujun buton ko main

shauq-e-talab ne dil ko sanam-KHana kar diya

un ki nigah-e-mast ke qurban jaiye

mere junun ko hasil-e-mai-KHana kar diya

Thukrae ya qubul kare us ki baat hai

hum ne to pesh jaan ka nazrana kar diya

tere KHiram-e-naz pe qurban zindagi

naqsh-e-qadam ko raunaq-e-virana kar diya

mai-KHana-e-alast ka wo rind hun 'fana'

jis par nigah Dal di mastana kar diya

(1060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ke Har KHayal Se Begana Kar Diya In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Duniya Ke Har KHayal Se Begana Kar Diya is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Duniya Ke Har KHayal Se Begana Kar Diya for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Duniya Ke Har KHayal Se Begana Kar Diya in PDF.