Gham-e-duniya Gham-e-hasti Gham-e-ulfat Gham-e-dil

gham-e-duniya gham-e-hasti gham-e-ulfat gham-e-dil

kitne unwan mile hain mere afsane ko

phir se aa jaegi dekho tan-e-be-jaan mein jaan

aap aawaz to dije zara diwane ko

be-KHudi mein bhi tera nam liye jate hain

rog ye kaisa laga hai tere mastane ko

tujh se bas itni talab hai tere diwane ki

apne jalwon se saja de mere gham-KHane ko

shoala-e-dard-e-mohabbat koi bhaDkae to

hum to tayyar hain is aag mein jal jaane ko

gar mera zauq-e-jabin-sai salamat hai 'fana'

kaba ek rose bana dunga sanam-KHane ko

(1123) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-duniya Gham-e-hasti Gham-e-ulfat Gham-e-dil In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Gham-e-duniya Gham-e-hasti Gham-e-ulfat Gham-e-dil is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Gham-e-duniya Gham-e-hasti Gham-e-ulfat Gham-e-dil for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Gham-e-duniya Gham-e-hasti Gham-e-ulfat Gham-e-dil in PDF.