Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai

hai wajh koi KHas meri aankh jo nam hai

bas itna samajhta hun ki ye un ka karam hai

ye ishq ki mearaj hai ya un ka karam hai

har waqt mere samne taswir-e-sanam hai

kabe se talluq hai na but-KHane ka gham hai

hasil mere sajdon ka tera naqsh-e-qadam hai

diwanon pe kis darja tera lutf-o-karam hai

baKHsha hai jo gham tu ne wahi hasil-e-gham hai

sar jab se jhukaya hai dar-e-yar pe main ne

mehrab-e-KHudi jalwa-gah-e-sham-e-haram hai

kya kaam zamane se use ai shah-e-KHuban

taqdir mein jis ki teri furqat ka alam hai

kaunain badal jae magar tu na badalna

tere hi sabab ahl-e-mohabbat ka bharam hai

palkon pe bikharte hain teri yaad ke moti

har ashk-e-nadamat tera andaz-e-karam hai

zahir mein koi kaba koi dair-o-kalisa

baatin mein har ek chiz tera naqsh-e-qadam hai

kar apni nazar se mere iman ka sauda

ai dost tujhe meri mohabbat ki qasam hai

ye umr guzar jae magar hosh na aae

sar shauq-e-ibaadat mein dar-e-yar pe KHam hai

ai dost tere ishq mein pahuncha hun yahan tak

aankhon mein sanam-KHana hai sine mein haram hai

kis tarah 'fana' chhoDun sanam-KHana-e-ulfat

hasil mere iman ka didar-e-sanam hai

duniya se nirali hai 'fana' maqtal-e-ulfat

is maqtal-e-ulfat mein jo sar hai wo qalam hai

(1244) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai in PDF.