Han Wahi Ishq-o-mohabbat Ki Jila Hoti Hai

han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai

jo ibaadat dar-e-jaanan pe ada hoti hai

jo giraftar-e-mohabbat hain ye un se puchho

naz kya chiz hai kya chiz ada hoti hai

un ki nazron ki haqiqat ko koi kya jaane

un ki nazron mein har ek gham ki dawa hoti hai

kyun na chehre pe malun KHak-e-dar-e-yar ko main

yahi wo KHak hai jo KHak-e-shifa hoti hai

raegan sajde bhi ho jate hain maqbul-e-karam

shamil-e-haal agar un ki raza hoti hai

jaane kya chiz chhupi hai tere jalwon mein sanam

sari duniya tere jalwon pe fida hoti hai

main bhi hun ek inayat ki nazar ka talib

tere kuche mein marizon ko shifa hoti hai

un ke maiKHane ko chhu aati hai jab fasl-e-bahaar

phul khil jate hain masti mein hawa hoti hai

ai 'fana' milta hai aashiq ko baqa ka paigham

zindagi jab rah-e-ulfat mein fana hoti hai

(1380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Han Wahi Ishq-o-mohabbat Ki Jila Hoti Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Han Wahi Ishq-o-mohabbat Ki Jila Hoti Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Han Wahi Ishq-o-mohabbat Ki Jila Hoti Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Han Wahi Ishq-o-mohabbat Ki Jila Hoti Hai in PDF.