Haram Hai Kya Chiz Dair Kya Hai Kisi Pe Meri Nazar Nahin Hai

haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai

main tere jalwon mein kho gaya hun mujhe ab apni KHabar nahin hai

jinhen hai Dar rah-e-imtihan se unhen abhi ye KHabar nahin hai

agar karam un ka rahbar ho kaThin koi rahguzar nahin hai

ba-shauq-e-sajda chale hain lekin ajib maslak hai aashiqon ka

wahan ibaadat haram Thahri jahan tera sang-e-dar nahin hai

teri talab teri aarzu mein nahin mujhe hosh zindagi ka

jhuka hun yun tere aastan par ki mujh ko ehsas-e-sar nahin hai

teri nawazish meri masarrat meri tabahi jalal tera

kahin nahin hai mera Thikana jo teri sidhi nazar nahin hai

jahan bhi hai koi miTne wala teri inayat ke sae mein hai

bana liya jis ko tu ne apna jahan mein wo dar-ba-dar nahin hai

har ek jagah tu hi jalwa-gar hai wo but-kada ho ya tur-e-sina

nigah-e-duniya hai kor baatin teri tajalli kidhar nahin hai

yahin pe jina yahin pe marna yahin hai duniya yahin hai uqba

'fana' dar-e-yar ke alawa kahin hamara guzar nahin hai

(1655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haram Hai Kya Chiz Dair Kya Hai Kisi Pe Meri Nazar Nahin Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Haram Hai Kya Chiz Dair Kya Hai Kisi Pe Meri Nazar Nahin Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Haram Hai Kya Chiz Dair Kya Hai Kisi Pe Meri Nazar Nahin Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Haram Hai Kya Chiz Dair Kya Hai Kisi Pe Meri Nazar Nahin Hai in PDF.