Husn-e-butan Ka Ishq Meri Jaan Ho Gaya

husn-e-butan ka ishq meri jaan ho gaya

ye kufr ab to hasil-e-iman ho gaya

ai zabt-e-dil ye kaisi qayamat guzar gai

diwangi mein chaak gareban ho gaya

wo ban sanwar ke phir meri mahfil mein aa gae

baiThe-biThae hashr ka saman ho gaya

kar ke singhaar aae wo aisi ada ke sath

aaina un ko dekh kar hairan ho gaya

dekha jo us sanam ko to mahsus ye hua

jalwa KHuda ka surat-e-insan ho gaya

sab mera ishq dekh ke lete hain tera nam

main bhi tere jamal ki pahchan ho gaya

puja karenge us ki 'fana' hum tamam umr

wo but hamare waste bhagwan ho gaya

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-butan Ka Ishq Meri Jaan Ho Gaya In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Husn-e-butan Ka Ishq Meri Jaan Ho Gaya is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Husn-e-butan Ka Ishq Meri Jaan Ho Gaya for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Husn-e-butan Ka Ishq Meri Jaan Ho Gaya in PDF.