Jo MiTa Hai Tere Jamal Par Wo Har Ek Gham Se Guzar Gaya

jo miTa hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya

huin jis pe teri nawazishen wo bahaar ban ke sanwar gaya

teri mast aankh ne ai sanam mujhe kya nazar se pila diya

ki sharab-KHane ujaD gae jo nasha chaDha tha utar gaya

tera ishq hai meri zindagi tere husn pe main nisar hun

tera rang aankh mein bas gaya tera nur dil mein utar gaya

ki KHirad ki fitnagari wahi luTe hosh chha gai be-KHudi

wo nigah-e-mast jahan uThi mera jam-e-zindagi bhar gaya

dar-e-yar tu bhi ajib hai hai ajib tera KHayal bhi

rahi KHam jabin-e-niyaz bhi mujhe be-niyaz bhi kar gaya

tere did se ai sanam chaman aarzuon ka mahak uTha

tere husn ki jo hawa chali to junun ka rang nikhar gaya

mujhe sab KHabar hai mere sanam ki rah-e-'fana' mein hayat hai

use mil gai nai zindagi tere aastan pe jo mar gaya

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo MiTa Hai Tere Jamal Par Wo Har Ek Gham Se Guzar Gaya In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Jo MiTa Hai Tere Jamal Par Wo Har Ek Gham Se Guzar Gaya is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Jo MiTa Hai Tere Jamal Par Wo Har Ek Gham Se Guzar Gaya for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Jo MiTa Hai Tere Jamal Par Wo Har Ek Gham Se Guzar Gaya in PDF.