Kafir-e-ishq Ko Kya Se Kya Kar Diya

kafir-e-ishq ko kya se kya kar diya

but ne haq aashna aashna kar diya

koi dekhe haqiqat mere kufr ki

main ne jis but ko puja KHuda kar diya

parsai dhari rah gai shaiKH ki

chashm-e-jadu-asar tu ne kya kar diya

dekhne wale kaba samajhne lage

kitna raushan tera naqsh-e-pa kar diya

but-parasti mein ki main ne wo bandagi

but-kade ko bhi qibla-numa kar diya

ai fana meri mayyat pe kahte hain wo

aap ne apna wada wafa kar diya

(2354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kafir-e-ishq Ko Kya Se Kya Kar Diya In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Kafir-e-ishq Ko Kya Se Kya Kar Diya is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Kafir-e-ishq Ko Kya Se Kya Kar Diya for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Kafir-e-ishq Ko Kya Se Kya Kar Diya in PDF.