Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-e-yar Ke Baad

kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke baad

ki be-qarar rahi zindagi qarar ke baad

uThe na panw mohabbat ki rahguzar ke baad

koi qayam nahin hai tere dayar ke baad

qabaen chaak to karte rahenge diwane

kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad

sharab-e-ishq ka mai-kash raha sada madhosh

teri nigah ki masti chaDhi KHumar ke baad

nigah-e-shauq ne donon jahan ko chhan liya

mila na rang koi jalwa-gah-e-yar ke baad

talab hai us ki to ho jao qatl-e-ishq 'fana'

mili hain azmaten mansur ko bhi dar ke baad

(1258) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-e-yar Ke Baad In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-e-yar Ke Baad is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-e-yar Ke Baad for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-e-yar Ke Baad in PDF.