Mail-ba-karam Mujh Par Ho Jaen To Achchha Ho

mail-ba-karam mujh par ho jaen to achchha ho

maqbul mere sajde ho jaen to achchha ho

is dasht-nawardi se pichha to kahin chhuTe

hum kucha-e-jaanan mein mar jaen to achchha ho

sar ho dar-e-jaanan pe dam apna nikal jae

ye kaam mohabbat mein kar jaen to achchha ho

yun to sabhi aae hain dafnane mujhe lekin

wo bhi meri mayyat pe aa jaen to achchha ho

phir dard-e-judai ka jhagDa na rahe koi

hum nam tera le kar mar jaen to achchha ho

dekhen na kisi ko hum phir dekh ke ruKH tera

didar tera kar ke mar jaen to achchha ho

rah jae mohabbat ka duniya mein bharam kuchh to

do phul hi turbat pe dhar jaen to achchha ho

dhaDka laga rahta hai har waqt balaon ka

hum sath nasheman ke jal jaen to achchha ho

badnam hi karne ko aaen wo magar aaen

wo itna karam mujh par kar jaen to achchha ho

ja sakte hain jaane ko hum chal ke 'fana' dekhen

wo KHud hamein mahfil mein bulwaen to achchha ho

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mail-ba-karam Mujh Par Ho Jaen To Achchha Ho In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Mail-ba-karam Mujh Par Ho Jaen To Achchha Ho is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Mail-ba-karam Mujh Par Ho Jaen To Achchha Ho for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Mail-ba-karam Mujh Par Ho Jaen To Achchha Ho in PDF.