Maqam-e-hosh Se Guzra Makan Se La-makan Pahuncha

maqam-e-hosh se guzra makan se la-makan pahuncha

tumhaare ishq mein diwana-e-manzil kahan pahuncha

nazar ki manzilon mein bas tumhin husn-e-mujassam the

mata-e-arzu le kar main ulfat mein jahan pahuncha

usi ne ishq ban kar do-jahan ko phunk Dala hai

wo shoala jo teri nazron se dil ke darmiyan pahuncha

junun zahir hua ruKH par KHudi par be-KHudi chhai

ba-qaid-e-hosh main jab bhi qarib-e-astan pahuncha

tum apni justuju mein ye mera shauq-e-talab dekho

tumhaare ishq mein luT kar bhi tum tak jaan-e-jaan pahuncha

talluq toD kar jaan-e-jahan sare zamane se

main pahuncha tha jahan mujh ko teri KHatir wahan pahuncha

'fana' wo jalwa-gar hone lage har bazm-e-iman mein

mera dil le ke jab mujh ko sar-e-ku-e-butan pahuncha

(1226) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqam-e-hosh Se Guzra Makan Se La-makan Pahuncha In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Maqam-e-hosh Se Guzra Makan Se La-makan Pahuncha is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Maqam-e-hosh Se Guzra Makan Se La-makan Pahuncha for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Maqam-e-hosh Se Guzra Makan Se La-makan Pahuncha in PDF.