Mere Dagh-e-dil Wo Charagh Hain Nahin Nisbaten Jinhen Sham Se

mere dagh-e-dil wo charagh hain nahin nisbaten jinhen sham se

unhen tu hi aa ke bujhaega ye jale hain tere hi nam se

main hun ek aashiq-e-be-nawa tu nawaz apne payam se

ye teri raza pe teri KHushi tu pukar le kisi nam se

main to gum hun teri talash mein mujhe kaun jaane tere siwa

koi kaise mahram-e-raaz ho teri aashiqi ke maqam se

tera ishq hai meri zindagi tera zikr hai meri bandagi

tujhe yaad karta hun main sada mujhe kaam hai isi kaam se

kabhi mai-kade pe jo dil raha tere aashiqon ki nazar paDe

use kahiye baada-e-marifat jo chhalak paDe abhi jam se

kahin uTh ke jaun main kyun 'fana' ki payam us ka mila mujhe

jo mila kabhi to milega wo mujhe dard-e-dil ke maqam se

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dagh-e-dil Wo Charagh Hain Nahin Nisbaten Jinhen Sham Se In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Mere Dagh-e-dil Wo Charagh Hain Nahin Nisbaten Jinhen Sham Se is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Mere Dagh-e-dil Wo Charagh Hain Nahin Nisbaten Jinhen Sham Se for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Mere Dagh-e-dil Wo Charagh Hain Nahin Nisbaten Jinhen Sham Se in PDF.