Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya

mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya

barq si gir gai kaam hi kar gai aag aisi lagai maza aa gaya

jam mein ghol kar husn ki mastiyan chandni muskurai maza aa gaya

chand ke sae mein ai mere saqiya tu ne aisi pilai maza aa gaya

nashsha shishe mein angDai lene laga bazm-e-rindan mein saghar khanakne laga

mai-kade pe barasne lagin mastiyan jab ghaTa ghir ke aai maza aa gaya

be-hijabana wo samne aa gae aur jawani jawani se Takra gai

aankh un ki laDi yun meri aankh se dekh kar ye laDai maza aa gaya

aankh mein thi haya har mulaqat par surKH aariz hue wasl ki baat par

us ne sharma ke mere sawalat pe aise gardan jhukai maza aa gaya

shaiKH-sahab ka iman bik hi gaya dekh kar husn-e-saqi pighal hi gaya

aaj se pahle ye kitne maghrur the luT gai parsai maza aa gaya

ai 'fana' shukr hai aaj baad-e-fana us ne rakh li mere pyar ki aabru

apne hathon se us ne meri qabr pe chadar-e-gul chaDhai maza aa gaya

(1397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya in PDF.