Na Dahr Mein Na Haram Mein Jabin Jhuki Hogi
na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi
tumhaare dar pe ada meri bandagi hogi
nigah-e-yar meri samt phir uThi hogi
sambhal sakunga na main aisi ye be-KHudi hogi
nigah pher ke ja to raha hai tu lekin
tere baghair basar kaise zindagi hogi
kisi tarah bhi piyen hum gharaz hai pine se
nahin hai jam to aankhon se mai-kashi hogi
tamam hosh ki duniya nisar hai us par
teri gali mein jise nind aa gai hogi
guzar hi jaega duniya se be-talab ho kar
tere KHayal se jis dil ko dosti hogi
jamal-e-yar pe yun jaan nisar karta hun
fana ke baad 'fana' ghar mein raushni hogi
(1253) Peoples Rate This