Tera Gham Rahe Salamat Yahi Meri Zindagi Hai

tera gham rahe salamat yahi meri zindagi hai

tere gham se mere jaanan mere dil mein raushni hai

meri mai-kashi ka hasil wo sharab ban gai hai

jo mili teri nazar se jo teri nazar se pi hai

tujhe samne biTha kar sada pujta rahun main

hai yahi meri ibaadat yahi meri bandagi hai

mere dil mein basne wale tujhe kaise bhul jaun

tera ishq mera mazhab teri yaad zindagi hai

meri iltija hai tujh se meri bandagi badal de

ki tere karam meri jaan meri lau lagi hui hai

main faqir aastan hun meri laj rakh KHudara

ye jabin-e-shauq meri tere dar pe jhuk gai hai

main 'fana' ki manzilon mein hun fana ki baad zinda

teri aarzu mein miT kar mujhe zindagi mili hai

(1633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Gham Rahe Salamat Yahi Meri Zindagi Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Tera Gham Rahe Salamat Yahi Meri Zindagi Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Tera Gham Rahe Salamat Yahi Meri Zindagi Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Tera Gham Rahe Salamat Yahi Meri Zindagi Hai in PDF.