Un Ke Jalwon Pe Hama-waqt Nazar Hoti Hai

un ke jalwon pe hama-waqt nazar hoti hai

kucha-e-yar mein yun apni basar hoti hai

jaane kya chiz mohabbat ki nazar hoti hai

wo jidhar hote hain duniya hi udhar hoti hai

hosh wale meri wahshat ko bhala kya samjhen

un ke diwanon ko aalam ki KHabar hoti hai

ishq mein chand-sitaron ki haqiqat kya ho

jalwa-e-yar pe qurban sahar hoti hai

aap ki yaad se hota hai mera dil raushan

aap ko dekh ke bedar nazar hoti hai

meri un ko na KHabar ho ye koi baat nahin

un ko to sare zamane ki KHabar hoti hai

jazba-e-ishq mein jannat ki tamanna kaisi

ye bulandi to meri gard-e-safar hoti hai

hech hoti hai nigahon mein mata-e-kaunain

mere dilbar ki nazar jab bhi idhar hoti hai

mere daman mein sama jate hain donon aalam

mere jaanan ki nazar jab bhi idhar hoti hai

aur kya hogi mere ishq ki mearaj 'fana'

zindagi yar ke qadmon mein basar hoti hai

(1138) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ke Jalwon Pe Hama-waqt Nazar Hoti Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Un Ke Jalwon Pe Hama-waqt Nazar Hoti Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Un Ke Jalwon Pe Hama-waqt Nazar Hoti Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Un Ke Jalwon Pe Hama-waqt Nazar Hoti Hai in PDF.