Wo Aashna-e-manzil-e-irfan Hua Nahin

wo aashna-e-manzil-e-irfan hua nahin

jis ko tere karam ka sahaara mila nahin

dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahin

tum se tum hi ho tum sa koi dusra nahin

jaun to uTh ke jaun kahan tere dar se main

tere siwa kisi ko bhi dil manta nahin

tera karam mata-e-do-alam mere liye

tera karam rahe to do-alam mein kya nahin

dast-e-talab baDhe to mile phir karam ki bhik

un ki ata ne ye bhi gawara kiya nahin

main bhi faqir-e-dar hun mujhe bhi nawaz do

mayus koi dar se tumhaare gaya nahin

takmil bandagi na hui mujh se ai 'fana'

jab tak dar-e-habib pe sajda kiya nahin

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aashna-e-manzil-e-irfan Hua Nahin In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Wo Aashna-e-manzil-e-irfan Hua Nahin is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Wo Aashna-e-manzil-e-irfan Hua Nahin for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Wo Aashna-e-manzil-e-irfan Hua Nahin in PDF.