Chehra-e-subh Nazar Aaya RuKH-e-sham Ke Baad

chehra-e-subh nazar aaya ruKH-e-sham ke baad

sab ko pahchan liya gardish-e-ayyam ke baad

mil gai rah-e-yaqin manzil-e-auham ke baad

jalwe hi jalwe nazar aae dar-o-baam ke baad

chahiye ahl-e-mohabbat ko ki diwana banen

koi ilzam na aaega is ilzam ke baad

imtehan-e-talb-e-KHam liya saqi ne

jam-e-lab-rez diya durd-e-tah-e-jam ke baad

hae kya chiz hai ye lutf-e-shikasta-pai

hausle aur baDhe koshish-e-nakaam ke baad

zindagi nam hai ek johd-e-musalsal ka 'fana'

rah-rau aur bhi thak jata hai aaram ke baad

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chehra-e-subh Nazar Aaya RuKH-e-sham Ke Baad In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Chehra-e-subh Nazar Aaya RuKH-e-sham Ke Baad is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Chehra-e-subh Nazar Aaya RuKH-e-sham Ke Baad for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Chehra-e-subh Nazar Aaya RuKH-e-sham Ke Baad in PDF.