Hum Aagahi-e-ishq Ka Afsana Kahenge

hum aagahi-e-ishq ka afsana kahenge

kuchh aql ke mare hamein diwana kahenge

rahta hai wahan zikr-e-tuhur-o-mai-e-kausar

hum aaj se kabe ko bhi mai-KHana kahenge

unwan badal denge faqat aap ki KHatir

hum jab bhi kahenge yahi afsana kahenge

parwane ko hum shama samajhte hain sar-e-sham

hangam-e-sahar shama ko parwana kahenge

sar rakh ke tere panw pe hum karte hain shikwa

kuchh log ise sajda-e-shukrana kahenge

ban jaega allah ka ghar KHud hi kisi din

filhaal 'fana' dil ko sanam-KHana kahenge

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aagahi-e-ishq Ka Afsana Kahenge In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Hum Aagahi-e-ishq Ka Afsana Kahenge is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Hum Aagahi-e-ishq Ka Afsana Kahenge for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Hum Aagahi-e-ishq Ka Afsana Kahenge in PDF.