Husn Ka Ek Aah Ne Chehra NiDhaal Kar Diya

husn ka ek aah ne chehra niDhaal kar diya

aaj to ai dil-e-hazin tu ne kamal kar diya

sahta raha jafa-e-dost kahta raha ada-e-dost

mere KHulus ne mera jina muhaal kar diya

mai-kade mein hai qaht-e-mai ya koi aur baat hai

pir-e-mughan ne kyun mujhe jam sambhaal kar diya

jitne chaman-parast the saya-e-gul mein mast the

apna uruj-e-gulistan nazr-e-zawal kar diya

KHud mera soz-e-jaan-gudaz chheD saka na dil ka saz

aap ki ek nigah ne sahab-e-haal kar diya

bazm mein sare ahl-e-hosh un ke sitam pe the KHamosh

ek junun-parast ne uTh ke sawal kar diya

lutf-e-firaq-e-yar ne lazzat-e-intizar ne

dur dil o nigah se shauq-e-visal kar diya

sun ke bayan-e-mai-kada dekh ke shan-e-mai-kada

shaiKH-e-haram ne bhi 'fana' mai ko halal kar diya

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ka Ek Aah Ne Chehra NiDhaal Kar Diya In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Husn Ka Ek Aah Ne Chehra NiDhaal Kar Diya is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Husn Ka Ek Aah Ne Chehra NiDhaal Kar Diya for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Husn Ka Ek Aah Ne Chehra NiDhaal Kar Diya in PDF.