JhuTi Hi Tasalli Ho Kuchh Dil To Bahal Jae

jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae

dhudli hi sahi lekin ek shama to jal jae

is mauj ki Takkar se sahil bhi larazta hai

kuchh roz to tufan ki aaghosh mein pal jae

majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho

waiz ka ye mansha hai mai-KHwaron mein chal jae

ai jalwa-e-jaanana phir aisi jhalak dikhla

hasrat bhi rahe baqi arman bhi nikal jae

is waste chheDa hai parwanon ka afsana

shayad tere kanon tak paigham-e-amal jae

mai-KHana-e-hasti mein mai-kash wahi mai-kash hai

sambhle to bahak jae bahke to sambhal jae

hum ne to 'fana' itna mafhum-e-ghazal samjha

KHud zindagi-e-shaer ashaar mein Dhal jae

(1294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JhuTi Hi Tasalli Ho Kuchh Dil To Bahal Jae In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. JhuTi Hi Tasalli Ho Kuchh Dil To Bahal Jae is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem JhuTi Hi Tasalli Ho Kuchh Dil To Bahal Jae for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download JhuTi Hi Tasalli Ho Kuchh Dil To Bahal Jae in PDF.