Mere Chehre Se Gham Aashkara Nahin

mere chehre se gham aashkara nahin

ye na samjho ki mein gham ka mara nahin

chashm-e-saqi pe bhi haq hamara nahin

ab ba-juz tark-e-mai koi chaara nahin

bahr-e-gham mein kisi ka sahaara nahin

ye koi aasman ka sitara nahin

Dubne ko to Dube magar naz hai

ahl-e-sahil ko hum ne pukara nahin

ghuncha-o-gul ko chaunka gai hai KHizan

fasl-e-gul ne chaman ko sanwara nahin

ghair ke sath kis tarah dekhun tujhe

apni qurbat bhi mujh ko gawara nahin

yun dikhata hai aankhen hamein baghban

jaise gulshan pe kuchh haq hamara nahin

zikr-e-saqi hi kafi nahin ai 'fana'

be-piye mai-kade mein guzara nahin

(1437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Chehre Se Gham Aashkara Nahin In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Mere Chehre Se Gham Aashkara Nahin is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Mere Chehre Se Gham Aashkara Nahin for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Mere Chehre Se Gham Aashkara Nahin in PDF.