Saqiya Tu Ne Mere Zarf Ko Samjha Kya Hai

saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

zahr pi lunga tere hath se sahba kya hai

main chala aaya tera husn-e-taghaful le kar

ab teri anjuman-e-naz mein rakkha kya hai

na bagule hain na kanTe hain na diwane hain

ab to sahra ka faqat nam hai sahra kya hai

ho ke mayus-e-wafa tark-e-wafa to kar lun

lekin is tark-e-wafa ka bhi bharosa kya hai

koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai

ek diwane ka zanjir se rishta kya hai

saqiya kal ke liye main to na rakkhunga sharab

tere hote hue andesha-e-farda kya hai

meri taswir-e-ghazal hai koi aaina nahin

saikDon ruKH hain abhi aap ne dekha kya hai

saf-goi mein to sunte hain 'fana' hai mashhur

dekhna ye hai tere munh pe wo kahta kya hai

(1327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqiya Tu Ne Mere Zarf Ko Samjha Kya Hai In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Saqiya Tu Ne Mere Zarf Ko Samjha Kya Hai is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Saqiya Tu Ne Mere Zarf Ko Samjha Kya Hai for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Saqiya Tu Ne Mere Zarf Ko Samjha Kya Hai in PDF.