Ya Rab Meri Hayat Se Gham Ka Asar Na Jae

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae

jab tak kisi ki zulf-e-pareshan sanwar na jae

wo aankh kya jo aariz o ruKH par Thahar na jae

wo jalwa kya jo dida o dil mein utar na jae

mere junun ko zulf ke sae se dur rakh

raste mein chhanw pa ke musafir Thahar na jae

main aaj gulsitan mein bula lun bahaar ko

lekin ye chahta hun KHizan ruTh kar na jae

paida hue hain ab to masiha nae nae

bimar apni maut se pahle hi mar na jae

kar li hai tauba is liye waiz ke samne

ilzam-e-tishnagi mere saqi ke sar na jae

saqi pila sharab magar ye rahe KHayal

aalam-e-rozgar ka chehra utar na jae

main us ke samne se guzarta hun is liye

tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae

masrur-e-did-e-husn hai is waste 'fana'

duniya ke aib par kabhi meri nazar na jae

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ya Rab Meri Hayat Se Gham Ka Asar Na Jae In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Ya Rab Meri Hayat Se Gham Ka Asar Na Jae is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Ya Rab Meri Hayat Se Gham Ka Asar Na Jae for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Ya Rab Meri Hayat Se Gham Ka Asar Na Jae in PDF.