Yun Intiqam Tujhse Fasl-e-bahaar Lenge

yun intiqam tujh se fasl-e-bahaar lenge

phulon ke samne hum kanTon ke pyar lenge

jaane do hum ko tanha tufan-e-arzu mein

jab Dubne lagenge tum ko pukar lenge

jo kuchh tha pas apne duniya ne le liya hai

ek jaan rah gai hai wo gham-gusar lenge

is daur-e-tishnagi mein kya mai-kade ko chhoDen

kuchh din guzar gae hain kuchh din guzar lenge

sayyaad o baghban ke tewar bata rahe hain

ye log fasl-e-gul ke kapDe utar lenge

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Intiqam Tujhse Fasl-e-bahaar Lenge In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Yun Intiqam Tujhse Fasl-e-bahaar Lenge is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Yun Intiqam Tujhse Fasl-e-bahaar Lenge for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Yun Intiqam Tujhse Fasl-e-bahaar Lenge in PDF.