Na Sare Aib Hain Aib Aur Hunar Hunar Bhi Nahin

na sare aib hain aib aur hunar hunar bhi nahin

kuchh ehtiyat to kije par is qadar bhi nahin

tumhaare hijr mein bandha hai wo saman hum ne

ki aankh hum se milata hai nauhagar bhi nahin

nahin zara bhi to us ne nahin milaya ruKH

main us ko dekh raha tha ye jaan kar bhi nahin

ye hum ne bhul ki aa pahunche un ki mahfil mein

par un se arz-e-tamanna to bhul kar bhi nahin

koi to rang bikheregi zindagi ki ye dhup

agar tawil nahin hai to muKHtasar bhi nahin

bhala main kaise ise dost man lun 'farhat'

jo ahl-e-zulm nahin aur chaaragar bhi nahin

(5511) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sare Aib Hain Aib Aur Hunar Hunar Bhi Nahin In English By Famous Poet Farhat Ali Khan. Na Sare Aib Hain Aib Aur Hunar Hunar Bhi Nahin is written by Farhat Ali Khan. Read famous Poem Na Sare Aib Hain Aib Aur Hunar Hunar Bhi Nahin for youth and Student by Farhat Ali Khan. Free Download Na Sare Aib Hain Aib Aur Hunar Hunar Bhi Nahin in PDF.