Hai Wahi Ek Mere Siwa Aur Main

hai wahi ek mere siwa aur main

donon tanha hain mera KHuda aur main

hai KHulasa meri zindagi ka yahi

ek nakaam harf-e-dua aur main

tirgi KHatm karne ki ummid par

raat bhar hi jala ek diya aur main

kaun jitega is jang mein dekhiye

ho gae hain muqabil hawa aur main

aai barkha ki rut mere dukh banTne

roe phir sath mil kar ghaTa aur main

ek taraf wo hai aur us ke sare sitam

ek taraf sabr ki intiha aur main

kyun saza phir milegi kisi aur ko

hain gunahgar meri ana aur main

tishnagi ki alamat ke taur par

do hi nam aaenge karbala aur main

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Wahi Ek Mere Siwa Aur Main In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Hai Wahi Ek Mere Siwa Aur Main is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Hai Wahi Ek Mere Siwa Aur Main for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Hai Wahi Ek Mere Siwa Aur Main in PDF.