Aisa Nahin Ki Munh Mein Hamare Zaban Nahin

aisa nahin ki munh mein hamare zaban nahin

hain kam-suKHan zarur pa aajiz bayan nahin

har-chand jaante hain use hum qarib se

par kya karen ki pa-e-suKHan darmiyan nahin

achchha to ek pal ke liye hi uTha ke dekh

ai aasman jo bar-e-amanat-garan nahin

KHud hum mein tab-e-did nahin hai ye aur baat

rahta hai wo nigah ke aage kahan nahin

'farruKH' kahin na sun ke kare wo bhi an-suni

kahte hain us se is liye dard-e-nihan nahin

(20283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Nahin Ki Munh Mein Hamare Zaban Nahin In English By Famous Poet Farrukh Jafari. Aisa Nahin Ki Munh Mein Hamare Zaban Nahin is written by Farrukh Jafari. Read famous Poem Aisa Nahin Ki Munh Mein Hamare Zaban Nahin for youth and Student by Farrukh Jafari. Free Download Aisa Nahin Ki Munh Mein Hamare Zaban Nahin in PDF.