Asbab-e-zindagi Ki Har Ek Chiz Hai Garan

asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan

bas ek zindagi hai ki arzan hai aaj-kal

mashshatgi-e-falsafa-e-maghribi na puchh

zulf-e-KHayal aur pareshan hai aaj-kal

sar-rishta-e-KHayal hua ja raha hai gum

kuchh aisi uljhanon mein musalman hai aaj-kal

qudrat ki rahbari ke tariqe ajib hain

yani libas-e-kufr mein iman hai aaj-kal

be-zahmat-e-shikar hi khaega kya unhen

kyun gurg bakriyon ka nigahban hai aaj-kal

ranai-e-KHayal ki gul-kariyan gain

bas hum hain aur KHwab-e-pareshan hai aaj-kal

malum ho raha hai ki manzil qarib hai

kuchh tez-rau si umr-e-gurezan hai aaj-kal

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asbab-e-zindagi Ki Har Ek Chiz Hai Garan In English By Famous Poet Fazl Ahmad Kariim Fazli. Asbab-e-zindagi Ki Har Ek Chiz Hai Garan is written by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Read famous Poem Asbab-e-zindagi Ki Har Ek Chiz Hai Garan for youth and Student by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Free Download Asbab-e-zindagi Ki Har Ek Chiz Hai Garan in PDF.