Bahaar Aai Gul-afshani Ke Din Hain

bahaar aai gul-afshani ke din hain

hamari tang-damani ke din hain

anadil ki ghazal-KHwani ke din hain

gulon ki chaak-damani ke din hain

jidhar dekho khile hain lala-o-gul

ye KHun-e-dil ki arzani ke din hain

hua daman-e-gul daman-e-yusuf

nazar ki pak-damani ke din hain

subuk-rau hai nasim-e-ruh-parwar

magar phir bhi giran-jaani ke din hain

dil-e-pur-dard umDa aa raha hai

ye bahr-e-gham mein tughyani ke din hain

yahi din ma-hasal hain zindagi ke

yahi jo dil ki nadani ke din hain

jamal-e-zindagi ki KHair yarab

kamal-e-aql-e-insani ke din hain

ghazal pakiza hai fazli abhi tak

ye din har-chand uryani ke din hain

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Aai Gul-afshani Ke Din Hain In English By Famous Poet Fazl Ahmad Kariim Fazli. Bahaar Aai Gul-afshani Ke Din Hain is written by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Read famous Poem Bahaar Aai Gul-afshani Ke Din Hain for youth and Student by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Free Download Bahaar Aai Gul-afshani Ke Din Hain in PDF.