Tumhin Ek Nahin Jaan-setan Aur Bhi Hain

tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain

bahut hadsat-e-jahan aur bhi hain

hasin aur bhi hain jawan aur bhi hain

ghazalan-e-abru-kaman aur bhi hain

sabhi ko mohabbat mein hote hain sadme

abhi kya abhi imtihan aur bhi hain

chalo dhum se jashn-e-matam manaen

hamein ek nahin nauha-KHwan aur bhi hain

nahin KHatm kuchh aasman par KHudai

mere haal par mehrban aur bhi hain

naqab us ne ruKH se uThai to lekin

hijabaat kuchh darmiyan aur bhi hain

fareb-e-karam ek to un ka hai is par

sitam meri KHush-fahmiyan aur bhi hain

wafa un se apni jatane gae the

magar ab to wo bad-guman aur bhi hain

nahin sabr hi ki kami tujh mein 'fazli'

meri jaan kuchh KHamiyan aur bhi hain

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhin Ek Nahin Jaan-setan Aur Bhi Hain In English By Famous Poet Fazl Ahmad Kariim Fazli. Tumhin Ek Nahin Jaan-setan Aur Bhi Hain is written by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Read famous Poem Tumhin Ek Nahin Jaan-setan Aur Bhi Hain for youth and Student by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Free Download Tumhin Ek Nahin Jaan-setan Aur Bhi Hain in PDF.