Ishq Us Se Kiya Hai To Ye Gar Yaad Bhi Rakkho

ishq us se kiya hai to ye gar yaad bhi rakkho

apne liye har din nai uftad bhi rakkho

KHud apne liye aap saza bhi karo tajwiz

munsif bhi bano ujrati jallad bhi rakkho

jo hath kare baKHiya-gari chaak-e-jigar ki

us hath mein ab KHanjar-e-bedad bhi rakkho

hum log to har-haal mein rahte hain sada KHush

jo KHush nahin rahte unhen nashad bhi rakkho

mumkin ho to is anjuman-arai mein taza

ek zaKHm-e-dil-e-KHanaman-barbaad bhi rakkho

jis shaKHs ne di likh ke tumhein apni asiri

us shaKHs ko ek pal kabhi aazad bhi rakkho

ye kar-e-jahan ab to sameTa nahin jata

behtar hai ki apna koi ham-zad bhi rakkho

shishe mein utaro kisi nazuk si pari ko

qabze mein koi apne pari-zad bhi rakkho

ye ghar koi mehman-sara to nahin jis mein

ek pal bhi na Thahro use aabaad bhi rakkho

aata hai hamein jaan se guzarne ka amal KHub

tum chaho to tegh-e-sitam-ijad bhi rakkho

ye zist ju-e-shir hai ai 'KHusraw'-e-sani

lazim hai tumhein taisha-e-farhad bhi rakkho

(12509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Us Se Kiya Hai To Ye Gar Yaad Bhi Rakkho In English By Famous Poet Feroze Natique Khusro. Ishq Us Se Kiya Hai To Ye Gar Yaad Bhi Rakkho is written by Feroze Natique Khusro. Read famous Poem Ishq Us Se Kiya Hai To Ye Gar Yaad Bhi Rakkho for youth and Student by Feroze Natique Khusro. Free Download Ishq Us Se Kiya Hai To Ye Gar Yaad Bhi Rakkho in PDF.