Pahle To Faqat Us Ka Talabgar Hua Main

pahle to faqat us ka talabgar hua main

phir ishq mein KHud apne giraftar hua main

aankhon mein basa jab bhi koi ajnabi chehra

ek lazzat-e-be-nam se do-chaar hua main

main yusuf-e-sani na 'zuleKHa' na wo darbar

kya soch ke ruswa sar-e-bazar hua main

ek umr bagulon ke taaqub mein guzari

phir apni hi parchhain se bezar hua main

main munsif-e-dauran na faqihon mein hun shamil

kis jurm mein be-jubba-o-dastar hua main

haq-goi ki padash mein mansur ki surat

har daur mein waqf-e-rasan-o-dar hua main

main apne hi hone se gurezan hua 'KHusraw'

iqrar ki surat kabhi inkar hua main

(7648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle To Faqat Us Ka Talabgar Hua Main In English By Famous Poet Feroze Natique Khusro. Pahle To Faqat Us Ka Talabgar Hua Main is written by Feroze Natique Khusro. Read famous Poem Pahle To Faqat Us Ka Talabgar Hua Main for youth and Student by Feroze Natique Khusro. Free Download Pahle To Faqat Us Ka Talabgar Hua Main in PDF.