Zindagi Dard Ki Kahani Hai

zindagi dard ki kahani hai

chashm-e-anjum mein bhi to pani hai

be-niyazana sun liya gham-e-dil

mehrbani hai mehrbani hai

wo bhala meri baat kya mane

us ne apni bhi baat mani hai

shola-e-dil hai ye ki shoala-saz

ya tera shola-e-jawani hai

wo kabhi rang wo kabhi KHushbu

gah gul gah raat-rani hai

ban ke masum sab ko taD gai

aankh us ki baDi siyani hai

aap-biti kaho ki jag-biti

har kahani meri kahani hai

donon aalam hain jis ke zer-e-nagin

dil usi gham ki rajdhani hai

hum to KHush hain teri jafa par bhi

be-sabab teri sargirani hai

sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar

teri uThti hui jawani hai

aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq

go kahani bahut purani hai

zabt kije to dil hai angara

aur agar roiye to pani hai

hai Thikana ye dar hi us ka bhi

dil bhi tera hi aastani hai

un se aise mein jo na ho jae

nau-jawani hai nau-jawani hai

dil mera aur ye gham-e-duniya

kya tere gham ki pasbani hai

gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran

daur-e-aflak ki bhi pani hai

ai lab-e-naz kya hain wo asrar

KHamushi jin ki tarjumani hai

mai-kadon ke bhi hosh uDne lage

kya teri aankh ki jawani hai

KHud-kushi par hai aaj aamada

are duniya baDi diwani hai

koi izhaar-e-na-KHushi bhi nahin

bad-gumani si bad-gumani hai

mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq

zindagi hijr ki kahani hai

bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae

bund mein bhi wo be-karani hai

mil gae KHak mein tere ushshaq

ye bhi ek amr-e-asmani hai

zindagi intizar hai tera

hum ne ek baat aaj jaani hai

kyun na ho gham se hi qimash us ka

husn taswir-e-shadmani hai

suni duniya mein ab to main hun aur

matam-e-ishq-e-an-jahani hai

kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab

raat hai nind hai kahani hai

(1366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Dard Ki Kahani Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Zindagi Dard Ki Kahani Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Zindagi Dard Ki Kahani Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Zindagi Dard Ki Kahani Hai in PDF.