BaDa Ghurur Hai Pal Bhar Ki Nek-nami Ka

baDa ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka

riwaj aam hai is daur mein ghulami ka

amir-e-shahr ne dastar chhin li us ki

sila ajib diya rose ki salami ka

lab-e-furaat rahe pyase waris-e-zamzam

shikar akela nahin main hi tishna-kaami ka

basarat aisi basirat nawaz de allah

hamein sujhai de nukta hamari KHami ka

kabhi to aaina chehre ke ru-ba-ru aae

kabhi to lamha mayassar ho KHud-kalami ka

'firaq' ho gae patthar hamare donon panw

baDa tha naz hamein apni tez-gami ka

(4297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDa Ghurur Hai Pal Bhar Ki Nek-nami Ka In English By Famous Poet Firaq Jalalpuri. BaDa Ghurur Hai Pal Bhar Ki Nek-nami Ka is written by Firaq Jalalpuri. Read famous Poem BaDa Ghurur Hai Pal Bhar Ki Nek-nami Ka for youth and Student by Firaq Jalalpuri. Free Download BaDa Ghurur Hai Pal Bhar Ki Nek-nami Ka in PDF.