Lamha Guzar Gaya Hai Ki Arsa Guzar Gaya

lamha guzar gaya hai ki arsa guzar gaya

hai kaun wo jo waqt ki sazish ye kar gaya

ab umr to ye bit chali sochte tumhein

itna hua hai han ki zara main sanwar gaya

simTa tha jab talak wo hatheli mein Thik tha

pahuncha labon pe lams to nas-nas bikhar gaya

yun to dahak raha tha wo suraj sa dur se

jo pas ja ke chhu liya kaisa sihar gaya

dekhun tujhe qarib se fursat se chain se

mera ye KHwab mujh ko liye dar-ba-dar gaya

ek roz tera nam sar-e-rah le liya

chalta hua ye shaghl achanak Thahar gaya

misra sisak raha tha akela jo der se

yaad us ki aa gai to ghazal mein utar gaya

(1303) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Guzar Gaya Hai Ki Arsa Guzar Gaya In English By Famous Poet Gautam Rajrishi. Lamha Guzar Gaya Hai Ki Arsa Guzar Gaya is written by Gautam Rajrishi. Read famous Poem Lamha Guzar Gaya Hai Ki Arsa Guzar Gaya for youth and Student by Gautam Rajrishi. Free Download Lamha Guzar Gaya Hai Ki Arsa Guzar Gaya in PDF.