Mujhse Aazurda Jo Us Gul-ru Ko Ab Pate Hain Log

mujh se aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log

aur hi rangat se kuchh kuchh aa ke farmate hain log

jab se jaana band mera ho gaya ai hamdamo

tab se un ke ghar mein har har tarah ke aate hain log

mere aah-e-sard ki tasir us ke dil mein dekh

hae kis kis tarah mujh par us ko garmate hain log

jab wo ghabraate the mujh se tab the un ke ghar ke KHush

ab jo wo KHush hain to un ke ghar ke ghabraate hain log

koi samjhao unhen bahr-e-KHuda ai momino

us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhate hain log

roz-e-hijran to dikhaya sau farebon se mujhe

dekhiye ab aur kya kya hae dikhlate hain log

jo lagate the bujhate the hamesha un se aah

wo hi ab na-chaar 'ghamgin' mujh se sharmate hain log

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Aazurda Jo Us Gul-ru Ko Ab Pate Hain Log In English By Famous Poet Ghamgeen Dehlvi. Mujhse Aazurda Jo Us Gul-ru Ko Ab Pate Hain Log is written by Ghamgeen Dehlvi. Read famous Poem Mujhse Aazurda Jo Us Gul-ru Ko Ab Pate Hain Log for youth and Student by Ghamgeen Dehlvi. Free Download Mujhse Aazurda Jo Us Gul-ru Ko Ab Pate Hain Log in PDF.