Siyasi Maslahat

hai yahi dastur duniya aur yahi dekha gaya

phul se KHushbu nikalte hi use phenka gaya

bagh-e-hindostan jin ke KHun se sincha gaya

dar na-qadri pe bil-aKHir unhen khincha gaya

zindagi mein mil gae kitnon ko sarkari KHitab

muft mein in ko KHarida muft mein becha gaya

marne walon ko bhi har eazaz parliament mein

ehtimaman warison ke hath mein saunpa gaya

the raqam jin mein jihad-o-jang-e-azadi ke bab

taq-e-nisyan mein unhi auraq ko phenka gaya

hind ki tariKH ka bab daraKHshan puchhiye

kyun siyasi maslahat ki aag mein jhonka gaya

mulk mein firqa-paraston ki hua chal hi gai

na kisi ne sarzanish ki na unhen Toka gaya

tang-nazari bughz aur nafrat-bhare tirshul ko

piTh mein insaniyat ki is tarah ghonpa gaya

hazrat-e-'azad' ko eazaz bhaarat-ratn ka

'KHwah-maKHwah' un ke pate par Dak se bheja gaya

(2276) Peoples Rate This

Ghaus Khah Makhah Hyderabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Siyasi Maslahat In English By Famous Poet Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Siyasi Maslahat is written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Read famous Poem Siyasi Maslahat for youth and Student by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Free Download Siyasi Maslahat in PDF.