Baaten Karo

raat-bhar iqrar ki baaten karo

subh-dam inkar ki baaten karo

uljhanen dil ki baDhani hon agar

gesu-e-KHamdar ki baaten karo

hain nigahen sair aur abru kaman

yar ba-hathiyar ki baaten karo

mah-washo itne bure bhi hum nahin

aao hum se pyar ki baaten karo

sirf pahli hi ke din ai dosto

saz aur jhankar ki baaten karo

dusri ko bach gae paise agar

kucha-o-bazar ki baaten karo

das talak chilllar agar baqi rahe

chae par aKHbar ki baaten karo

bis aur ikkis ko ahbab se

charKH-e-na-hanjar ki baaten karo

qarz-e-hasana le ke tum untis tak

ghar ke karobar ki baaten karo

tis ko baaten karo iktis ki

ya dil-e-bimar ki baaten karo

aaKHiri din KHub ghusse mein raho

hujjat-o-takrar ki baaten karo

phir usi shab subh ki ummid mein

miThi miThi pyar ki baaten karo

tum se ye kis ne kaha tha 'KHwah-maKHwah'

is tarah be-kar ki baaten karo

(2378) Peoples Rate This

Ghaus Khah Makhah Hyderabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Baaten Karo In English By Famous Poet Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Baaten Karo is written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Read famous Poem Baaten Karo for youth and Student by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Free Download Baaten Karo in PDF.