Abhi Dekhi Kahan Hain Aapne Sab KHubiyan Meri

abhi dekhi kahan hain aap ne sab KHubiyan meri

nigahen DhunDhti hain aap ki bas KHamiyan meri

mera kirdar duniyan mein shahadat se munawwar hai

nazar aaen falak par sab ko raushan surKHiyan meri

wahan barson talak phulon ki kheti hoti rahti hai

baras jati hain jin KHitton pe ja kar badliyan meri

main har neki ko apne dushmanon mein banT deti hun

samar-awar raha karti hain is se nekiyan meri

zamana chahe jo samjhe ana ke sath zinda hun

tumhein bhi jit legi ek din ye KHubiyan meri

kisi bhi marke par ab talak haari nahin hun main

mera zewar raha hai doston KHuddariyan meri

jise tum rakh samjhe ho abhi tak aag hai us mein

kuredo mat jala degi tumhein chingariyan meri

'sabin' aksar main dastarKHawan se uTh jati hun bin khae

kisi bhuke ke kaam aa jaen shayad roTiyan meri

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Dekhi Kahan Hain Aapne Sab KHubiyan Meri In English By Famous Poet Ghausiya Khan Sabeen. Abhi Dekhi Kahan Hain Aapne Sab KHubiyan Meri is written by Ghausiya Khan Sabeen. Read famous Poem Abhi Dekhi Kahan Hain Aapne Sab KHubiyan Meri for youth and Student by Ghausiya Khan Sabeen. Free Download Abhi Dekhi Kahan Hain Aapne Sab KHubiyan Meri in PDF.