Chal Diya Naz Zamane Ke UThane Wala

chal diya naz zamane ke uThane wala

sare ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala

aankh pur-nam hai yahi soch ke ahl-e-dil ki

lauT kar ab nahin aaega hansane wala

baat to karte hain sab log wafa ki lekin

kis ne dekha hai kahan par hai nibhane wala

ab pareshan sa phirta hai zamane bhar mein

zaKHm-e-dil par mere tezab lagane wala

shukr-e-rab hai meri phulon pe guzari us ne

aag pe soya hai barud bichhane wala

hum ne dekha hai shab-o-roz zamane mein 'sabin'

surKH-ru hota hai sajdon ko sajaane wala

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal Diya Naz Zamane Ke UThane Wala In English By Famous Poet Ghausiya Khan Sabeen. Chal Diya Naz Zamane Ke UThane Wala is written by Ghausiya Khan Sabeen. Read famous Poem Chal Diya Naz Zamane Ke UThane Wala for youth and Student by Ghausiya Khan Sabeen. Free Download Chal Diya Naz Zamane Ke UThane Wala in PDF.