MuKHtasar Si Baat Ko Bhi Masala Kahte Rahe

muKHtasar si baat ko bhi masala kahte rahe

zindagi mein aap ko kyun rahnuma kahte rahe

be-wafa hone ka fatwa de diya un ne hamein

umr-bhar jin ke sitam ko hum wafa kahte rahe

kar diya mismar un ne ek pal mein qasr-e-dil

jin ke KHasta ghar ko bhi hum KHush-numa kahte rahe

har ghaDi har waqt har pal har jagah be-KHauf hum

wo hamare the hamare hain sada kahte rahe

dhire dhire chal diye us rah par hum bhi 'sabin'

raat-din sab jis ko gham ki karbala kahte rahe

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MuKHtasar Si Baat Ko Bhi Masala Kahte Rahe In English By Famous Poet Ghausiya Khan Sabeen. MuKHtasar Si Baat Ko Bhi Masala Kahte Rahe is written by Ghausiya Khan Sabeen. Read famous Poem MuKHtasar Si Baat Ko Bhi Masala Kahte Rahe for youth and Student by Ghausiya Khan Sabeen. Free Download MuKHtasar Si Baat Ko Bhi Masala Kahte Rahe in PDF.