Qadam Qadam Pe Hai Raqsan Udasiyon Ka JhunD

qadam qadam pe hai raqsan udasiyon ka jhunD

nafas nafas mein utarta hai siskiyon ka jhunD

hamare dil ki udasi kisi ko kya malum

hamin samajh na sake kyun hai hichkiyon ka jhunD

tumhaara sath hi chaha tha kya gunah kiya

umaD paDa tha kyun rahon mein bijliyon ka jhunD

'sabin' mujh ko bhi lahaq hai maut ka KHatra

mere bhi sath hai yusuf ke bhaiyon ka jhunD

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam Qadam Pe Hai Raqsan Udasiyon Ka JhunD In English By Famous Poet Ghausiya Khan Sabeen. Qadam Qadam Pe Hai Raqsan Udasiyon Ka JhunD is written by Ghausiya Khan Sabeen. Read famous Poem Qadam Qadam Pe Hai Raqsan Udasiyon Ka JhunD for youth and Student by Ghausiya Khan Sabeen. Free Download Qadam Qadam Pe Hai Raqsan Udasiyon Ka JhunD in PDF.