Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-e-hairat Nahin

aaine mein aks khilta hai gul-e-hairat nahin

log sach kahte hain aankhon si koi neamat nahin

ab bahar-surat sar-e-maidan utarna hai mujhe

kar-zar-e-ishq se paspai ki surat nahin

us ke hone se hui hai apne hone ki KHabar

koi dushman se ziyaada laeq-e-izzat nahin

sair karna chahta hun main jahan-abaad ki

aur ruk kar dekh lene ki mujhe fursat nahin

ishq par faez hun auron ki tarah lekin mujhe

wasl ka lapka nahin hai hijr se wahshat nahin

raat wo aansu bahae hain ki mere qalb par

subh ka aaghosh wa karna meri ujrat nahin

jis qadar mahmez karta hun main 'sajid' waqt ko

us qadar be-sabr rahne ki use aadat nahin

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-e-hairat Nahin In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-e-hairat Nahin is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-e-hairat Nahin for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-e-hairat Nahin in PDF.